Nidhi Parikh's profile

EMCEE| SANGEET NIGHT MC SCRIPT

EMCEE SCRIPT
 SANGEET NIGHT MC SCRIPT
VENUE:
DURATION: 07:00-09:30 PM    
EMCEE:                                                           
SANGEET NIGHT: Bhupesh (Surname) & Neena (Surname)

                                                                                                                             
FAMILY GATHERS FOR GANPATI VANDANA- DURATION: 3 MINS
<BACKSTAGE ANNOUNCEMENT BY THE EMCEE>
                  MC: Har shubh ghadi ki shuruaat hamare vighnaharta Ganpati ji ko yaad kar ke hi hoti hai, aao Ganesh Vandana ke saath aaj ki sangeet ki shaam ko shuru karte hai.
            (FAMILY MEMBERS COMES ON STAGE | DOES GANPATI POOJA |IMPROMPTU SPEECH| LEAVES THE STAGE)
-------------------------------------------------------------------------------
 EMCEE WELCOMES THE GUESTS - DURATION: 3MINS
                MC: Jodi aasmano se bankar aati hai aur shaadi janamoh- janamoh ke bhaandan ko majboot kar deti hai.
     <MC COMES ON STAGE>
                 MC: Namaste Bhaiyo Aur Behno, Main Aapka Host & Dost (Name). Aap sabhi ka swagat karte hu, Bupesh aur Neena ke iss haseen Sangeet Night mai. Dosto, Rishtedaaron aur Parivaar ke log, is mahatvapoorn din par yahaan aane ke liye mai aap sab ka dhanyavaad karata hu.
               
               Khoobsurat Sa Ek Pal Kissa Ban Jata Hai; Jane Kab Kaun Zindagi Ka Hissa Ban Jata Hai; Kuch Log Zindagi Mein Milte Hain Aise; Jinse Kabhi Na Tootne Wala Rishta Ban Jata Hai. Aur aise hi ek rista bangaye hai Bhupesh aur Neena ka.

                Dosto kaha jaha hai ki, guzar ta waqt toh, guzar jayega, guzar ta waqt toh, guzar jayega, agar kuch toh pass rahe jayega, barso bhaad bhi yaad rahe jayega, toh woh hoga isse khubsoorat raat ka roshan sa lamha koi. Aur chaleyeh woh lamhe karte hai, humera pyaare couple, Bupesh aur Neena ke naam.

                Jee Hain! Kehta hai ki, jodiya swarg me banti hai, aur yaha dharti par unhe kasme aur vaadho mai bhandha jata hai. Aaj ki yeh ek aise hi shubh ghadi mein, Ek meethe rishte ki hai shuruwat,Tum dono sada raho saath-saath, Bhagwan se hai bas yahi fariyaad. Aur issi dua ke saath hum shuru karte hai Bupesh aur Neena ki Sangeet ki raat. (CUE- MUSIC)
-------------------------------------------------------------------------------
EMCEE ANNOUNCES AN INTERACTIVE AV ACT- DURATION: 10 MINS
                                                    
                 MC: Aaj Khushiyon Ki Raat Hogi, Jashan Jara Datt Ke Hoga, Bhupesh Aur Neena Ka Sangeet Hai, Aandaj Jara Hat Ke Hoga. Aur Isse Anokhe Aandaj Ko Pesh Kar Ne Aa Rahe Hai (Dance Group Name). So let’s enjoy with this unique Interactive AV Act.

                 <MC STEPS ASIDE |DANCE GROUP COMES ON STAGE FOR INTERACTIVE ACT | PERFORMS & LEAVES THE STAGE | <LIGHTS OFF> FEMALE DANCERS ENTERS |WELCOMES THE GUESTS, PERFORMS +SONG TRACK: SHUBHAARAMBH - KAI PO CHE! | PERFORMS & LEAVES THE STAGE | MC ENTERS.>

                MC: Kya bhaat… kya bhaat…Sach mai, dhoom mancha deya.
-------------------------------------------------------------------------------

EMCEE ADDRESSES ABOUT THE FAMILY’S HAPPINESS
MC: Dosto, aaj do aatamavo ke saath-saath, do parivaar ka bhi tammaah umar ke liyeh pyaare se bandhan me bandhne ja rahe hai. Vivaah ek aise rista nahi jo sirf ‘Var – Vadhu’ ke beech banta hai, yeh ek aise pyaara sa rista hai jo, do parivaaro ko ek majboot dor mai badhana hai.
Iss rishte ne poore parivara par khushi ka khumar chagaya hai. Jee dosto, aaj toh dono parivaaro ki khushi ka thikana hi nahi hai. Jee, Bhupesh ka parivaar khush hai ki Neena unke parivaar mein shamil ho rahee hai. Toh, waha Neena ke parivaar ne toh Bhupesh ko aap na beta hi bana diya hai. Aur jaise-jaise yeh sangeet ki raat agaye bhadh thi hai, waise-waise hum sab pe masti ka khumar chha jaye ga.
-------------------------------------------------------------------------------
EMCEE ANNOUNCES THE DANCE PERFORMANCES - DURATION: 130 MINS
MC: Aaee sangeet ki ye raat, laai sapno ki baarat, sajaniya hai saajan ke saath, rahe sada haatho main aise haath, aai sangeet ki ye raat… Dosto, humera (bride’s surname) parivaar ne aur (groom’s surname) parivaar ne itne kam dino mai kafi mehnat ki hai, aur kuch khaas performance ki taaiyaar kari hai. Jee hai, get ready for some non-stop entertaining performances by Bhupesh and Neena (groom & bride surnames) accompanied by the renowned SSDC Dance Group.
<FAMILY PERFORMANCES>
BRO + SISTER (Groom)
MC: Humeri pheli performance aarahe hai, lakhe wale ki oor se, jee hai aap sabhi ka dil jeetne aarahe hai, Bhupesh ke pyaar re Bhai aur Behan. Jordar taaliyo ke saath swagat kijiye.(Bro+Sister (Groom) - name)
<MC STEPS ASIDE |   BRO + SISTER (GROOM) COMES ON STAGE |SONG TRACK: 1 SWEETY TERA | TRACK: 2 ANKH MAARE| PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS>

MC: Waah, kya performance hai....
YUKTI (GROOM)
MC: Abh aarahe hai, humere Dulhe ki taraf se ek aise performer jo aapni Kamariya ka jalwa bikhar kar sab ko kar degi ghayal.

<MC STEPS ASIDE | YUKTI (GROOM) COMES ON STAGE|SONG TRACK: 1 KAMARIYA| TRACK: 2 TAMMA TAMMA| PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS>
MC: Aap ne toh sach mai dhoom macha diya.
MIXED ACT FROM BRIDE PERFORMERS
MC: Ab dosto dil thaam ke baithiye kyuki aa rahe hain humare pyaar Dulhan ki taraf se ek shandar performers.
<MC STEPS ASIDE | MIXED ACT FROM BRIDE SIDE PERFORMERS COMES ON STAGE|SONG TRACK: 1 TUKUR TUKUR | TRACK: 2 NAINO WALE | TRACK-3 PHOLO KA | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS>
MC: Chagaye aap toh… what a performance….
------------------------------------------------------------------------------

PADMAVAT THEME:
MC: Aab sab ke dilo pe machane khalibali aur chahat ka ghoomar, aa raha hai hamare agalaye performers.
<MC STEPS ASIDE |SSDC PROFESSIONAL DANCE TROUPE PERFORMERS COMES ON STAGE|PADMAVAT THEME+SONG TRACK: 1 GHOOMAR | TRACK: 2 KHALIBALI | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS>
MC: What a performance guys, aap ne toh raang jama diya.
-------------------------------------------------------------------------------
 GROUP DANCE MASI (GROOM):
MC: Ab aap na dil tham ke bhatiya, kyunki aa rahe hai, stage par iss shaam ko aur bhi shubh karne ke liyeh (name).
<MC STEPS ASIDE | GROUP DANCE MASI (GROOM) COMES ON STAGE | PERFORMS +SONG TRACK: SHUBH GHADI | PERFORMS & LEAVES THE STAGE | MC ENTERS.>

MC:  What a mind-blowing performance...
-------------------------------------------------------------------------------
LADIES /BUAJI (GROOM):
MC:  Dulhan ko Sasural se ru-ba-ru karvane aarahe hai.. Bua Ji aur unki kuch saheliya. Jor dar tali hojaye.

<MC STEPS ASIDE | LADIES /BUAJI (GROOM) COMES ON STAGE | PERFORMS +SONG TRACK: SASURAL GENDA PHOOL| PERFORMS & LEAVES THE STAGE | MC ENTERS.>
MC: Behtareen performance...
-------------------------------------------------------------------------------
COUPLES (BRIDE):
MC: Ab der na karte huwai mai aap sab ko humari agali performance ki oor leyeh na chahunga.

<MC STEPS ASIDE | COUPLES (BRIDE) COMES ON STAGE | PERFORMS +SONG TRACK: GUD NAAL ISHQ MITHA| PERFORMS & LEAVES THE STAGE | MC ENTERS.>

MC: Waah! Kya bhaat, kya bhaat…                        
<Cue- Music>
-------------------------------------------------------------------------------
GIRLS MIXED (BRIDE):
MC: Aap sab ka dil jeetne aur aap na swag dekhne aa rahe hai (Name).
<GIRLS MIXED (BRIDE) PERFORMERS COME ON STAGE| BOLLYWOOD CONTEMPORARY THEME+SONG TRACK: 1 GHOOMAR | TRACK: 2 LAMBORGHINI | TRACK: 3 LAUNGUACHA |TRACK: 4 LAUNG LACHI | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS >

MC: It was a stunner, jordar taaliya ho gaye inke liyeh.
-------------------------------------------------------------------------------
ROMANTIC THEME:
MC: Aur ab is mehfil ko char chand laga ne aa rahi hai aapne romantic performance se. (name of performers) Everybody make some noise.
<PERFORMERS COMES ON STAGE| ROMANTIC THEME+SONG TRACK: 1 DIL DIYAN GALLAN | TRACK: 2 HAWAYEIN (HARRY MET SEAL) | TRACK: 3 EK LADKI KO DEKHA TO AISA LAGA | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS >
MC: Indeed, a breath-taking performance.

-------------------------------------------------------------------------------
EMCEE ENGAGEMENT
MC: Jashn ka aagman joro-shoro se chal rahe hai. Par agalayee performance se phele mai milne chatihu/chatahu aapni audience se, karne kuch guftgu.

MC: (calls on stage/ or goes to- a relative couple) Ghar pe jab sab rishte dar aatai hai toh, biwi aapne pati ko ‘aajee sunte hoo jee, no-no…’ (Low tone) par jab ghar pe hoti hai toh yeh hi biwi sher banke bolti hai ‘NO NO’. Kya mane sahi kaha?

Audience 1- (Impromptu) giggles…

MC: Aap ki biwi kaha mile aap ko?

Audience- 2 –(Impromptu) Sapano mai.

MC: Mujhe itna lagta hai ki sapne mein bhi woh, aap pe raj hi kar rahi hogi.

Audience 2- (Impromptu) giggles…
(Audience Laughs)
-------------------------------------------------------------------------------

COUPLE DANCE (GROOM)
MC: Aur aab dekhte hai aaglayee performers by (couple dance groom-name).
<COUPLE DANCE (GROOM) PERFORMERS COMES ON STAGE|SONG TRACK: 1 AAJ KAL TERE MERE | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS >
MC: Jor dar taaliya ho jayeh dosto...
-------------------------------------------------------------------------------
COUPLE DANCE (BRIDE)
MC: Abh Ladke walo ko dene takar aarahi hai (couple dance- bride side-name).
<COUPLE DANCE (BRIDE) PERFORMERS COMES ON STAGE|SONG TRACK: 1 SAJAN BADE SENTI | MEIN BADIYA | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS >
MC: Ladaki walo ne toh mehfil mai rang hi jama diya.
-------------------------------------------------------------------------------

WEDDING THEME ACT
MC:  Shadi Ka Aisli Matlaab Humera Dulha Aur Dulhan Ko Shamja Ne Aarahe Hai..( Ssdc Professional Dance Troupe)
<WEDDING THEME ACT SSDC PROFESSIONAL DANCE TROUPE PERFORMERS COMES ON STAGE|SONG TRACK: 1 (name)| PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS >

-------------------------------------------------------------------------------
RINKITA +JAY (GROOM)
MC: Iss behtareen performance ke bhaad aarahe hai Ladke walo ki taraf se, Rinkita aur Jay
<RINKITA +JAY (GROOM) PERFORMERS COMES ON STAGE|SONG TRACK: 1 LO CHALI MEIN| TRACK: 2- NAZAM PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS >
MC: Rinkita aur Jay aap ne toh sabhi bolti hi bhand kar di hai..

-------------------------------------------------------------------------------
MIXED PERFORMERS BRIDES SIDE
(MC Comes On Stage)
MC: Abh aarahe hai Dulhan ki oor se (mixed performers name)...
<MIXED PERFORMERS (BRIDE) COMES ON STAGE|SONG TRACK: 1 BETI SONG | TRACK: 2- LAADKI | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS >
MC: Dulhan ki parivaar ne toh sab ka maan jeet liye hai... lovely performance. 

-------------------------------------------------------------------------------
EMCEE ANNOUNCES POWERFUL TRON ACT- DURATION: 130 MINS
MC: Jab roshanee band ho jaatee hai, to unakee rachanaatmakata (creativity) roshan hotee hai. Haan deviyon aur sajjanon, aapake saamane ek unique dance group hai jo aapne international TRON ACT ke saath aap sabhi ka manoranjan kare gaye. Jee hain, jor dar taaliyoh ke saath swagat karte hai, TEAM ILLUMINATI ka!

               <MC STEPS ASIDE |DANCE GROUP COMES ON STAGE FOR TRON ACT | PERFORMS & LEAVES THE STAGE | MC ENTERS.>
MC: I must say just look at the energy wow…Spectacular… Don’t you think dosto?

-------------------------------------------------------------------------------
RETRO THEME:
(MC Comes On Stage)
MC: Aur aab retro ki dhun pe twist kare ne aarahe hai, humera agaleye performers (name)
<PERFORMERS COMES ON STAGE| RETRO THEME+SONG TRACK: 1 AJAA AJAA | TRACK: 2 O HASEENA ZULFON WALI | TRACK: 3 BADAN PE SITARE | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS >
MC: Aap ne toh Shammi Kapoor ko bhi maat de aur sab ko din mai sitare dikha diye.
-------------------------------------------------------------------------------












EMCEE ENTRY – GENERAL ENGAGEMENT

MC: (GOES TO AUNTY) Namaskar, Kya Naam Hai Aapka?

Audience 3- (Impromptu)

MC: (Aunty’s name) Aapke jumko ke tarref mai kya kahu...aise lag raha hai ki jhumka gira re bareli ke bazaar mein sirf aapke liyeh hi bana hai.

MC: (Ask to audience) Jo inke smile pe fida hai woh kaha hai? (Audience points towards husband and MC Goes to Husband)

MC: Aapka kya naam hai sir?

Audience- 4- (Impromptu)

MC: Aapke muskurat ne mere hoss uda diyeh. Mai hoss mai hi aane wala tha, aap fir muskuradiya.

Audience- 4- (Impromptu/ Laughs)
-------------------------------------------------------------------------------
COUPLE ACT BRIDES SIDE (BRIDE)
(MC Comes On Stage)
MC: Humera aagalaye performance aarahe hai hum sab ka mann mohane, please welcome (couple act performers bride side -name)
<PERFORMERS COMES ON STAGE| SONG TRACK: 1 MAKHNA | TRACK: 2 DHISKAU | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS>
-------------------------------------------------------------------------------
FAMILY ACT (GROOM)
(MC Comes On Stage)
MC: Chaliyehi swagat karte hu (Family Act Groom name) performance, jo sabhi ke dilon pe macha degi hulchul.

<PERFORMERS COMES ON STAGE| SONG TRACK: 1 CHANDA HAI TU | TRACK: 2 TUJHE CHAND KAHU | TRACK: 3 TUJH MEIN RAB |TRACK:4 AE DIL LAYA HAI | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS>

MC: Waah, waah...really an awesome performance.

-------------------------------------------------------------------------------



BOLLYWOOD INDIAN THEME:
(MC Comes On Stage)
MC: Dosto Premniya-mausam-chhe, toh apna dil jar thaam ke baithiye kyuki aabh arahe hai humera alageye performers’ aap sabhi ka dil dhadkane. (Name)
<PERFORMERS COMES ON STAGE| BOLLYWOOD INDIAN THEME+SONG TRACK: 1 GALLAN GOODIYAAN | TRACK: 2 MORNI BANKE | TRACK: 3 CHOGADA TARA | PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS>
MC: Ladies and gentlemen, pyaari si- sweet si taaliya hojaye, inke liyeh.
----------------------------------------------------------------------------

EMCEE ANNOUNCES NEENA & BHUPESH DANCE PERFORMANCE.
MC: Shaadi Do Dilo Ka Milan Hai, Do Aatma Ka Bandhan Hai, Aur Doo Parivaar Ko Ek Atutha Dhagaye Mai Bhandaane Vala Atoot Dor Hain.

Jee hain, Rajasthan ki Rani, hum sab ki lado, Neena aur humera American(USA) gabru jawan munda, Bhupesh ki zindagi mein khushiyon ne dastak di aur rab ne bana di ye jodi. Aapne inn dono ki kahani toh sun liya hai, ab taiyar ho jaye inki ek pyaari si performance ke liyeh…Kya aap excited hai, inn dono ki performance ko dekhne ke liye? Toh taaliya bajaker swagat kijiye kyunki aapke saamne arahe hai hum sab ke pyaar ri jodi, Neena and Bhupesh. (Audience applause)

(NEENA IS BROUGHT ON A PALKI WHILE BHUPESH ENTRES THROUGH LED WALL, BOTH FACILITATED BY A PROFESSIONAL DANCE GROUP.)
<NEENA + BHUPESH DANCE SONG TRACK: 1 KAUN TUJHE| TRACK: 2 AAONA |SONG TRACK: 3 BADRI KI DULANIYAN.>
MC: Phele woh log zara chila ke dekhiyeh jinko lagta hai ki Bhupesh aaj Ranveer Singh se kaam nahi lagta hai,(Audience applause)  Aur abh woh log jinko lagta hai ki humeri pyaari Neena, Deepika se kaam nahi lagti hai.  (Audience applause)
Dosto aaj ki yeh shaam hai, bahut hi khaas, aur yeh shaam ho jayegi aur bhi khaas agar mil jayega aap sab ka ashirwad- hamari pyaari si Jodi ko mil jaye. We need smiles & claps from the audience… (Bhupesh & Neena goes and takes their seats)
-------------------------------------------------------------------------------

FINALE THEME:
                 MC: Ab main stage par bhulana chahta hu… Neena aur Bhupesh ke mata aur pita ji ko.

<PERFORMERS COME ON STAGE| FINALE THEME+SONG TRACK: 1 NAME| TRACK: 2 NAME| PERFORMERS LEAVES | MC ENTERS.>

MC: Maan Machal Ke Mor Hona Chaahie, Sangeet Kee Shaam Hai, Thoda Shor Hona Chaahie…Dikhane Ko To Raat Bhar Daans Dikhen Ham Aapako,Magar Aapakee Taaliyon Mein Bhee Thoda Jor Hona Chaahie! Jee Hain, Taaliyaan Bajatee Rahe Dosto.

MC: Hum yeh umeed kare gaye ki yeh rishton ki atoot dor, waqt ke saath aur bhi majboot hoti rahe… Mai Bhupesh aur Neena ke parivaar ki oor se aap sabhi ka dhanyvaad karti hu ki aap sab ne aakar is Sangeet night mai aakar apna ashirvad diya.

Jate jate mai ek baat kahe chahti/chahta hu, ki aye khuda apni adalat mein hum sab ke liye zamanat rakhna. Hum rahe na rahe par humerahe (groom’s surname) parivaar aur (bride’s surname)ke parivaar ko salamat rakhna. Alvida Dosto.

<EMCEE SIGNS OFF>                                                                                    
<EVERYONE LEAVES>
~End.~
-------------------------------------------------------------------------------
EMCEE| SANGEET NIGHT MC SCRIPT
Published:

EMCEE| SANGEET NIGHT MC SCRIPT

Published:

Creative Fields