Anshul Srivastava's profile

Script writing and Narration

Script:

Sumit apne pita ji ki dialiysis ke liye har dusre din isis aspatal mein aata hai. Sumit Peshe se vakil hai, ek qaabil aur kaamyab vakil. Ek Lauti aulad hone ke karan sab kuch akele sambhalna mushkil ho jata hai aur ese mein Sumit talasta hai ek esa saathi jo salah na de balki sirf use sune. Dost aur rishtedaar hain parr..shayad kuch haalaat tabhi samjh aate hain jab aap unhe karib se mehsus karen. 
Us din Sumit hospital lobby mein baitha tha ki taang. uske phone par email aya. Koi “Just Ask!” naam ki foundation ka e mail tha jismein yeh char linein bhi likhi thi..
Sometimes you need someone to tell you they care,
Sometimes it’s about the bond you share;
Sometimes you need to be told what’s fair;
But sometimes you need someone just to be there!
“Just Ask” ek esi sanstha hai jo un logon ko jodti hain jinka koi apna kisi gambhir bimari se jujh raha hai. Yeh sanstha in logon ko unke interests ke anusar activities aur gatherings suggest karti hai. Sumit ne jhat se website kholi aur foundation ki organizer ki tasveer dekh kar woh chauka Aree?, yeh toh wahi hai na..apne Gupta uncle ki ladki Kavita! Gupta uncle ki bhi toh dialysis Papa ke saath hi pichle saal shuru hui thi. Usne socha ki ek saal se who Kavita ko janta hai par kabhi koi khaas baat nahi hui. Kya pata Kavita bhi ese kisi dost ki talash mein ho jo hamesha salah na de balki use sune. Sumit ne turant “Just Ask” par register kia aur tai kia ki who un sab logon ki madad karega jo apni pareshaniyon ko baatne mein hichkichate hain. Itne mein hi dur se aati high heels ki tat-tak , tak tak sunayi di, Sumit ne sar utha kar dekha toh samne se muskurati hui Kavita aa rahi thi.


Script writing and Narration
Published:

Script writing and Narration

Published:

Creative Fields