Aleeya Fatima's profile

70 Nama. After Panama. (BlogPost)

Pakistan satar (70) saal ka hogaya aur hamay abhi tak ye aqal nahe ayi kay mulk ka tarana remake karnay wali cheez he nahe hai. Kabhi Ashiq Banaya hai ki tone pe Salam-e-Isqh gaya hai, ya Dil Dil Pakistan kay sur pe Afreen Afreen ka sur lagaya hai. Naheen na! Tou National anthem kyon yaar! 

Ye mulk mazeed kya kya dikhega ham me say kisi ko nahe pata. Liken ik lower middle class admi ki zindagi say ziada bad-tar haalat tou dikh he liye hain isnay. Hairat ki baat tou ye hai kay us gareeb admi ki average age limit say ziada jee gaya hamara Pakistan. Aj Poray 70 saal ka hugaya Pakistan. San 1947 August 14 ko aik aisay shaks nay isay azad karwaya jiski na tou khanay se ubalti hui tond thi aur na he noteoon say ubalta hua bank account. Agar kuch to tha tou sirf ik irada. Ghulami say azad karwanay ka irada. Ab is azadi ko istemal kaisay karna tha wo Jinnah hum pe chor kay chalaygaye. Jiskay istemal ka tou pata nahe liken haan hum faida uthana zaror seekh gaye. Hum be dharak ik choti si bike per do do bakray godh me betha kar khullay aam lejanay ko kehtay rahe azadi. 4ft kay rikshay me 3 chawthayi khandan bhar kar ayashi kay liye nikal janay ko kehtay rahe azadi. 800 ka burger khanay kay bad sarak pe dabba phenk kar 2 rupay wali harkat kar janay ko kehtay rahe azadi. Mulk kay Bani ki qabar say 10ft door bench pe dhiletayi se beth kar date martay janay ko kehtay rahe azadi. Ab is sab kay bad khud ko azad khayal kahein ya azaad muhal samjh nahe ata.
Wo laye thay toofan say kashti nikal kay aur hum nay kya kiya? Sambhalnay kay bajaye baja kay rakhdi iski. Ik wo daur tha kay jab apnay Quaid kay ik isharay per ya tou log jee uthtay thay ya mar mit’tay thay. Khair hota tou aj bhi kuch waisay he hai, wo alag baat hai kay tab Quaid ko dekh kay ye nahe lagta tha jaisay kisi nay fun ko phula kay betha diya ho. #IStillBhai #DoYou

Pichlay 3 saalon me Pakistan Zindabad say ziada Go nawaz go kay naray lagaye, chicken kay dhokay me khotay khaye, siyasat daanon nay laakhon kay baal lagwaye liken Pakistan waisa he raha. Ab mulk ka immunity system acha hai ya digestive system ye samjh nahe ata. Kyon kay agar ye sari harkatain humnay apnay ghar me karna shuru kardeen huteen tou amma ko hazam nahe huna tha aur abba nay tou do chitar laga kay nikal bahar krna tha. Wo tou Pakistan ka zarf hai jo isme ajj bhi hum zinda hain aur shayad isi wajah say ye hum me. 
Ye mulk bad nizami, corruption, siyasi-o-samaji buhran aami ki tarhan jahez me lekar nahe aya tha. Hum nay banaya hai isay kharab. Tou janab Pakistan me nahe hum me hai kharabi. Jis din mulk kay naujawan mun me pan aur dil me hukmarana rakh kay system ko gaaliyan dena chordeingay us din baghair dharnay diye he naya Pakistan banjayega. Phir chahay mulk buhran say nikal kay Imran kay pas jaye ya tashreef samait Shareef kay pas, ye mulk tab tak nahe badlega jab tak hum nahe badlengay.

Shukriya :)


Follow: aleeyabeeti.wordpress.com
70 Nama. After Panama. (BlogPost)
Published:

70 Nama. After Panama. (BlogPost)

Published:

Creative Fields