Tum jab aaogi tou khoya hua paogi mujhay
Meri tanhaayee may khwabon ke siwa kuch bhi nahi
Mere kamray ko sajanay ki tamanna hai tumhain
Mere kamray may kitaabon ke siwa kuch bhi nahi
In kitaabon ne bara zulm kiya hai mujh per
In mein ek ramz hai jis ramz ka mara hua zehan
MuXda-e-ishrat-e-anjaam nahi pa sakta
Zindagi mein kabhi araam pa nahi sakta
Jaun Elia