Anju Sharma's profile

26th January 2019 Radio Scripts

MVO (hard hitting sarcastic slowly poetry reading type) :-
70 saal pehle banaya par kya aapke samajh aaya?
Right to Equality.
Ghar ki maid ki ye kahani..
Subah ki shuruwaat usne taano se maani ( background me.. aaj fir late, kya karti kya rehti hai, chappal utaar ke aa, par memsaab thand hai)
Khair kaam usne aapke ghar ke kiye..
Par bartan uski chai ke aapne alag rakh diye.. (emphasizing this particular line)
Hum honge kamyaab ek din..
Par kya equality ke bin???
Ma ma ma mirchi ( mirchi flute in the closing)

MVO (hard hitting sarcastic slowly poetry reading type) :-
70 saal pehle banaya par kya aapke samajh aaya?
 Right to Freedom.
Ek achche singer aur bure engineer ki kahani..
Ikchha jiski uske papa ne na mani..
3 baar bina mann ke usne AIEEE diya..
Aur office karaoke parties me hi apna asli sapna jiya.. (emphasizing this particular line)
hum honge kamyaab ek din..
par kya freedom ke bin???
Ma ma ma mirchi ( mirchi flute in the closing)

MVO (hard hitting sarcastic slowly poetry reading type) :-
70 saal pehle banaya par kya aapke samajh aaya?
Right against exploitation.
Bin poochhe naam jiska chhotu ye uski kahani..
Manjboori jiski ek galat maalik ne pehchani..
Tankhwa chwanni..aur bachpan kharch diya..
Sabka order liya.. kya usne kabhi bhi kuchh order kiya.. .. (emphasizing this particular line)
hum honge kamyaab ek din..
par kash exploitation ke bin!!
Ma ma ma mirchi ( mirchi flute in the closing)
26th January 2019 Radio Scripts
Published:

26th January 2019 Radio Scripts

Published: