Bade bade plans banane hain
in choti choti galliyon se nikalne ke

jahan room toh hai par space nahi,
log toh hain par grace nahi.

life bahot fast hai,
sahi baat hai, jitni fast hai utni udaas bi.

vahi local hai, vahi crowd,
roz unhi ghisi-piti seato pe baithne ko tarasti hui ye zindagi.

kahin ghumne ka plan b bane,
toh pehle yeh sochna padhta hai k locals kitni change hongi.

desh toh aapka hai,
par sheher sirf unka jo yahan paida hue.

duniya toh bahot dikhayega ye sheher,
par apnayega nahi.

sau gharo se nikalti ek road,
ya ek road pe sau chote ghar. yahan baat ek hi hai.


jahan khane ko ek vada-pav mile,
jeene ko locals,
pehenene ko sadko k kapde mile,
shaan se log fir b kahenge,

hum mumbai-ya hain! 
Mumbai-ya
Published:

Mumbai-ya

A hinglish take on the life in Mumbai

Published:

Creative Fields