Script: 
Beta: Chalo na papa, pleaseeee

Dad: Aaj nahi ho payega beta, agle sunday chalenge.

Mom: Tumne bola tha hum sab chalenge.
          Kya girgit ki tarha rang badalte rehte ho.

Dad: 100 chuhe kha ke billi chali hajj ko.
         Aaj se pehle saare nakhre tumne hi dikhaayein hain.

Mom: Tum rehne do, ghode bech ke so jao, aur aata hi kya hai tumhe.

Son (laughing): Hahahha ghode bech ke.. 

Dad: Hass lo hass lo tum sab, geedadh jhund mai aata par sher humesha 
         akele hi aata hai.

Beti: Aree ye ghar hai ki chidiyaghar, isse acha toh asli jaanwaron
         ke dekh lete chal ke .

VO: Apne bachchon ke saamne jaanwar na banein. Unhe jaanwar dikhaane 
       laayein Jijamata Zoo.

Aaj hi aaiye Jijamata zoo!! 
Radio Spot | Group
Published:

Radio Spot | Group

Published:

Creative Fields